रंगकर्मी परिवार मे आपका स्वागत है। सदस्यता और राय के लिये हमें मेल करें- humrangkarmi@gmail.com

Website templates

Sunday, December 30, 2007

Ek hindustani

Saturday, December 30, 2007 Ek Hindustani Is kudrat ke zarre-zarre me kuch aisa chhipa hota hai jo kabhi-kabhi humare liye akalpaniya hota hai,Insaan bhi unme se ek hai jisme atulniya pratibha samahit hai.Nishchit hi lekhan usme se ek hai.....Shabd aapko apna shagird bhi bana sakte hain to jung bhi kara sakne me mahir hote hain.maine bhi aaj se ek rangkarmi hone ke naate shabdo ke jaal se kuch nayaab shado ko chunkar ek ladi bunne ki koshish ki hai aur koshish karungi ki is ladi ki dor ko itna mazbut bana du ki har hindustani usme apni pratichhaya ko mehsus kar sake kyuki insaan ki ye indriya hi sabse mazboot hai ki wo ek- dusre ke bhawo ka sparsh tezi se karta hai.Ek hindustani hone ke nate ,Ek samvedansheel insaan hone ke nate,mujhe vishwas hai ki in shabdo me aap khud ko talashne ki koshish zarur karengeRangkarmi ki amulya nidhi.......... SMRITI DUBEY,

4 comments:

Sona said...

Ek hindustani hi nhi, sabse phle ek insaan hone ke nate sabhi zaroor apke shabdo ki ladi me apne aap ko sammalit karna chahenge. Or jab har vyakti apne mahjab, bhasha tatha seemayon ko bhula kar apki shab mala me apne naam ka moti piroyega to ye sirf ek ladi hi nhi, BHARAT MATA ke prati samarpit ek shabdon ka haar hoga........

or isi ke sahare har hindustani apne bhavon ko ek dusre ko vyakt kar sakega....................

Muje ye write up kafi pasand aaya. Bahut achchi suruaat hai Smriti. ye article zaroor continue rakhna. Best of Luck for ur upcoming Bright Future.

satyandra yadav said...

sabse pahale mai aapko new year 2008 ki shubh kamnaa deta hoon. aapne likha hai ki .....
" Shabd aapko apna shagird bhi bana sakte hain to jung bhi kara sakne me mahir hote hain."
mai aapko bata dena chahata hoon ki ... shabdo ne shabdo ko chalna sikhaya ,shabdo ne shabdo ko hasana sikhaya , shabdo ne shabdo se sabko apna banaya... lekin shabdo ne shabdo ko gulaam banaya...
mai yahi kahana chahta hoon ki shabd bina ham sab gunge hain... ham sabhi rangkarmi aapke shabdo me samlit rakhenge...

your's junior
satyandra yadav..

Parvez Sagar said...

स्मृति की पोस्ट मे जिस बात पर चिंतन-मनन किया जा रहा है। आज के इस दौर मे उसे गम्भीरता से समझने की ज़रुरत है। और ज़रुरत है सबसे पहले हिन्दुस्तानी बनने की, एक बेहतर इन्सान बनने की।
एक बात खासतौर पर कहना चाहता हूँ कि शब्दों के चयन का जो तरीका स्मृति ने अपनाया है वो काबिलेगौर है। क्योंकि जिस लेखक की शब्दों पर पकड़ हो वो अपने लेख के दम पर कुछ भी कर सकता है। स्मृति की भाषा आम आदमी की भाषा है जो किसी को भी समझ मे आ सकती है। हमारी ये साथी बधाई की पात्र है जो शब्दों का जादू चलाना जानती है। उम्मीद है कि स्मृति के लेख इसी तरह से हम सब की स्मृतियों मे बने रहेगें। और इसी तरह से स्मृति की कलम चलती रहे.... इन्ही शुभकामनाओं के साथ.......

परवेज़ सागर

Daisy said...

Cakes to India

सुरक्षा अस्त्र

Text selection Lock by Hindi Blog Tips